Shiv aur Kamla pati-patni the. Shiv apna kaafi khayal rakhta tha lekin Kamla ne apne shareer aur swaasth par dhyan dena band kar diya tha. Vah kaafi moti ho gayi thi aur use dekh kar Shiv ko uske prati bilkul aakarshan mehsoos nahin hota tha. Kamla ko kaafi saari bimaariyan bhi hone lagi. Ek din Kamla ne khud ko dekha aur use samajh mein aa gaya ki aakhir uska pati usse door kyun jaa raha tha aur doosri auraton ki taraf aakarshit kyun tha. Usne khud mein parivartan laane ka nishchay kiya.
©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan