Episodes

  • Episode 1 - Third Anglo Maratha War
    Dec 29 2022
    Bharat pe kabza jamaane ka sapna angrez ab dekhne lage the. Par unke aur unke sapne ke beech mein Maratha samrajya ek deewar ban kar khadi thi. Par maratha samrajya ab pehle jitna taakatwar nahi tha. Isi baat ka fayda utha kar British East India company ne dheere dheere kuchh Maratha raajaon ko yudh mein hara kar aur kuchh ko chhalbaazi se apni kathputli bana kar Marathon ki taakat ko kamzor kar diya. Teesre Anglo - Maratha Yudh ke khatam hote hote laghbag poora Bharat British East India company ke aadheen ho chuka tha. Ab British Raj se bhidne wali saltanat nahi bachi thi aur na hi unke Raja bache the.
    Show More Show Less
    21 mins
  • Episode 2 - 1857 Ki Kranti
    Dec 29 2022
    British East India Company ne Bharat par kabza toh kar liya tha par Bharat ki Janta unki tanashahi se na-khush thi. Jagah jagah log aawaz uthaane lage the. Iski shuruaat hui Mangal Pandey se, jinhone Gaay ki charbi se banaayi ja rahi Enfield rifle ki bullets ke khilaaf apni awaaz uthaayi. Mangal Pandey ke saath poori paltan chal padi. Angrezon ke khilaaf panap rahi iss aag ko hawa tab mili jab Rani Laxmi bai - Begum Hazrat - Maratha aur peshwaon ne sipahi vidroh mein hissa liya. Aur San 1857 tarikh ban gayi Bharat ki aazadi ki pratham ladai ki.
    Show More Show Less
    19 mins
  • Episode 3 - 1885 Congress Ka Gathan
    Dec 29 2022
    Bharat ko lekar British raj ke napaak mansube ab saaf ho rahe the. Bharat ki janta samajh chuki thi ki angrez Bharat ko bas apne faayde ke liye istemaal kar rahe the. Aise mein Bhartiyon ke beech British Raj ko lekar naraazgi badh rahi thi. British Sarkaar jaanti thi ki agar jald se jald kuch nahi kiya gaya toh yeh naraazgi phirse ek revolt ka roop le legi, aur isi liye unhone, A.O Hume ke suggestion aur leadership ke under ek party Indian National Congress banaayi. Indian National Congress ka maksad tha Bharat ke sabhi bade leaders ko ek organization ke under le aana aur unhein apni grievances rakhne ka common platform dena taki woh manipulate hote rahein.
    Show More Show Less
    21 mins
  • Episode 4 - Partition Of Bengal
    Dec 29 2022
    Indian National Congress ban chuki thi. Indians ko apni demands aage rakhne ka ek platform mil chuka tha. Kuchh leaders ne toh azaadi ke sapne bhi dekhne shuru kar diye the. Congress ke aane se Bharat mein nationalism ki feeling Badh rahi thi. Angrez jaante the ki Bharat mein badhti yeh nationalism ki feeling unke liye bahut badi samasya khadi kar sakti hai. Isiliye unhone nationalist movement ko todne ke liye ek yojna banaayi. Unki yojna thi Partition of Bengal. Bengal ko dharm ke aadhaar pe divide karne ka plan banaya gaya. Pehli baar dharam ke adhaar par aisa koi rule pass kiya jaa raha tha. Iss partition ke through angrez Bharat mein ekta se rah rahe Hindu- Muslim samudaayon ke beech ek daraar paida karna chaahte the.
    Show More Show Less
    20 mins
  • Episode 5 - Naram Dal Garam Dal
    Dec 29 2022
    Apne alag alag nazariyon ke wajah se Indian National Congress ke leaders ke beech mein daraar paida ho rahi thi. Ek taraf the extremist leaders aur doosri taraf moderates. Inn badhti dooriyon ka faaayda hamesha ki tarah British sarkaar ko hi ho raha tha. Isi dauraan Morley Minto reforms introduce kiya gaya, jiske tahat Indians ko governance mein hissa lene ka mauka toh diya gaya, lekin phir se ek baar communal representation ke naam pe divide karne ki koshish ki gayi. Iss Mudde ko le kar Congress mein bhi kaafi vichaar vimarsh kiya gaya. Gandhiji India laute, Kai Bhartiya leaders ne unse politics join karne ki vinati toh ki, lekin uss samay Gandhiji sirf logon ki sewa karna chah rahe the, aur unhone apne guru ke Aadesh par poore hindustaan ka bhraman shuru kar diya.
    Show More Show Less
    21 mins
  • Episode 6 - Mill Andolan
    Dec 29 2022
    Gandhiji poora hindustaan ghoom ke, logon ki samasyaaon ko jaanane ki koshish kar rahe the. Isi dauraan unhein Champaran mein kisaano ke khilaaf ho rahe atyaachar ke baare mein pata chala. Gandhiji ne Champaran ke kisaano ki madad karne ke liye Bharat ka pehla Satyagrah aandolan ka bigul funka. Pehli baar logon ko ekjut hokar ladne ki taakat dekhne ko mili. Gandhiji ne logon ko ahinsa aur Satyagraha ke usoolon se waqif karwaya. Aur inhi usoolon ki madad se Gandhiji ne Ahmedabad mein mill maalikon aur mazdooron ke beech ho rahi samasyaaon ka bhi hal kiya.
    Show More Show Less
    22 mins
  • Episode 7 - Jallianwala Bagh
    Dec 29 2022
    World War I poore joro pe tha. Iss dauraan Bharat mein andolan ki lahar fail rahi thi. Bhartiya andolano se pareshaan Britishers ne andolan ko control karne ke liye Martial Law lagoo kar diya. Iss baat se anjaan log, Amritsar mein Baisaakhi ka jashn manaane aur peaceful protest karne ke liye Jallianwala Bagh mein ikhathate huye. Bhartiya andolan se tilmilaaye General Dyer ne Jallianwala Bagh mein Open Fire kar diya. Khoon ki nadiya baha di gayi. Poore Vishwa mein shayad hi isse badtar koi aur ghatna huyi ho. Yeh haadsa aaj bhi logon ke raungte khade kar deta hai.
    Show More Show Less
    21 mins
  • Episode 8 - Non-cooperation Movement
    Dec 29 2022
    Badhte hue atyachaar ke khilaaf ladne ke liye, Khilafat movement aur Bharat ka muslim samaaj bhi Gandhiji ke saath jud gaye aur phir shuruaat hui Non cooperation movement ki. Gandhiji ne Bhartiya awaam ko iss movement ke zariye Indian freedom struggle se jod kar, unhe iska hissa bana diya. Pehli baar Bharat mein itne bade sthar par koi movement organize kiya gaya. Gandhiji ne har aam bhartiy ko iss movement se judne ki wajah de di thi. Dheere-dheere Gandhiji aur unke tareeke British sarkaar ke liye khatarnaak saabit ho rahe the. Par isi dauraan kuch logon ki naasamajhi aur josh kharosh ne iss Poore andolan ko khatre mein daal diya.
    Show More Show Less
    21 mins