Preview

Anand ki Aur

Written by: Gurudev Sri Sri Ravi Shankar
Narrated by: Gurudev Sri Sri Ravi Shankar
  • Summary

  • “Anand Ki Aur” mein aap sunenge Gurudev Sri Sri Ravi Shankar Ji ke gyaan moti, unke shishoyo dwara. Gurudev Sri Sri Ravi Shankar, ek manavtavadi, aadhyatmik guru, shanti aur manav mulya ke rajdut aur Art of Living Foundation ke nirmata hai. Yeh series aadharit hai Art of Living aur unke ‘Happiness Program’ pe, jisne kayi zindagiyan bahtar ki hai.

    Yeh series aapka wah avsar hai, jiske madhyam se aap Gurudev Ji ke gyaan ko praapt kar aap apni nakaratmak bhavnao ko tyaag prassanta ke path par aage badhenge. Gurudev Ji apko bahar ki zindagi ki asthirta se dur le ja kr aapki andar ke sthirta ki aur le jayenge. Taiyaar ho jaiye kuch aise aasan avem asardar upayo ke liye jo aapke masthik ke dwaar khol denge.

    Ham saath milkar prassanta ka srujan karenge!

    ©2020 Audible Singapore Private Limited (P)2020 Audible Singapore Private Limited
    Show More Show Less
Episodes
  • Krodh se Shanti ki Aur

    Krodh se Shanti ki Aur

    Anand Ki Aur, Episode 1
    Sep 18 2020
    Krodh ke saar ko samjhiye. Kaha se aata hai krodh, kya yeh humaare adhoori icchayo se janam leta hai ya humari poornta ki apekhsha se. Apne krodh ko kabu mein laaye par yeh matt smjhe ke krodh hamesha galat hota hai. Janiye aap kaise kisi priye ke gusse ko sambhal skte hai. Sikhiya kuch nuskhe jo apko apke krodh ko sambhalne mein and apko shanti ki aur le jane mein sahayeta karenge. Janiye ke krodh kahan uchit hai, kahan anuchit. Ek neerav jeevan ki aur badhe.
    Show More Show Less
    19 mins
  • Anand: Ek Prakritik Bhavna

    Anand: Ek Prakritik Bhavna

    Anand Ki Aur, Episode 2
    Sep 18 2020
    Humein lagta hai ke anand kabhi zindagi mein rehta hai ton kabhi nahi. Parantu kya waqai aisa hai? Sikhiye woh tarike jinse aap anand ko prapt kr skte hai aur usko apne jeevan mein banaye rakh skte hai. Kya koi sambandh hai khush prasannta ka anubhav karne aur dusre ko prassanta dene mein? Kya aap jante hai ke anand shishu annad bhi ho skta hai aur paripakva bhi. Janiye che asaan tareeke anandamey jeevan ke!
    Show More Show Less
    16 mins
  • Ek Bhavnaayo ka Trikon: Bhay, Prem aur Ghrina
    Sep 18 2020
    Anischitta ka aabhas, bhay ko janam deta hai. Par bhay kya hai aur hamare shareer mein iska aabhas kahan hota hai. Prem aur ghrina se bhay ka kya sambandh hai? Maano jaise ek trikon ho. Janiye kaunsa chakra juda hai inn bhavnaayo se. Sikhiye ek anishchit waqt mein aap kaise bhay se juj skte hai, visheshtah iss virus ke samein pr. Kya hum bhay ka upyog kar apni buri aadaton ko uchit parinamo mein badal skte hai? Janiye apko kya kadam lene chanhiye iss parivartan ke liye. Parivaartan chain ki aur!
    Show More Show Less
    16 mins

What listeners say about Anand ki Aur

Average Customer Ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.