Preview

Uncovidable

Written by: Vekeana Dhillon
Narrated by: Rasika Dugal
  • Summary

  • 'Uncovidable' tab hota hai, jab ek saahasi mahila ki achhi khasi chal rahi zindagi ko achanak hi rok diya jata hai aur us se kaha jata hai ke Covid 19 mahamari ke karan sampurn desh mein 21 din ka lockdown kiya jaa raha hai , isiliye wo 21 din tak apne ghar se bahar na nikale . Vekeana Dhillon dwara likhi gayi 'wish-it- wasn't true' par adharit is kahani mein bataya gaya hai ke achanak aye is thahrav se wo mahila kaise kalpanik roop se apne aas paas ke logon ke vyavhar aur paristhitiyoka muaayna karti hai. aur un cheezon ko dekhti aur Janti hai jo usne is lockdown se pahle kabhi mehsoos hi nahi ki thi....ye Gudgudati aur janipahchani si kahani aage badhegi ek series ke madhyam se jismen honge voice messages jo is aurat ne apni best friend ke phone par chhode the lekin unka jawab nahi aya. aur jaise jaise wo apni us dhokhebaz dost ki is harkat ke bare mein janane lagti hai , to wo apni dost ki kuch chaunka dene wali baaten batati hain, lekin uske jeevan ke is asali anubhav mein uske sath hamesha hote hain , is lockdown mein jail bane ghar mein uske sathi COVID 19 , uska pati aur bhaai ....is 21 bhag/episode ki series ko suniye aur kho jaiye is dilchasap kahani ki sajish mein Disclaimer: Iss show mein apshabd aur kadi bhasha aur vayask shrotaayon ke liye vayask saamagri hai, jismein antrang drishya shaamil hain jo kahani ke anuroop hain. Yeh poori tarah kaalpanik hai aur vaastavik vyakityon, vyavsaayon, sthaanon ya ghatnaayon ke saath koi bhi samaanta maatr sanyog hai. Iss show ka uddyeshya kisi vyakti, sansthan, jaati, samudaay, nasl ya dharm ko thes pahunchaana ya badnaam karna ya kisi sansthan ya jeevit ya mrit vyakti ko badnaam karna nahin hai. Shrotaaon ko apne vivek ka istemaal karne ki zordaar salaah di jaati hai.
    ©2020 Audible Singapore Private Limited (P)2020 Audible Singapore Private Limited
    Show More Show Less
Episodes
  • Chaunkadiya

    Chaunkadiya

    Uncovidable, Episode 1
    Sep 24 2020
    Pehala din - apni dost kaa haalchal puchane ke liye Vekeana uske phone par ek voice message chhodti hai . Waisie bhi maya key ane ke baad dono ke pass karne ke liye baaten thi. Vekeana ne use bataya ke kaise wo do haftonse apne pati Puneet aur bhai vikaram ke sath ghar mein isolation par hai , aur abhi aadha lockdown beeta hi tha ke khabar aayi ki lockdown ko badha kar ab 21 din ke liye kar diya hai. Vekeana ne apni dost ko is dauran apne khayal aur yojnayen batayi sath hi bataya ke lockdown se nikalne ke baad wo kaun se zaruri kaam hain jinhe wo sabse pahle nibtayegi , is message ke baad use ummed thi ke uski dost ko jais hi ye message sunegi use fauran phone karengi , lekin asal mein esa hua kya ...
    Show More Show Less
    11 mins
  • Dhabaana

    Dhabaana

    Uncovidable, Episode 2
    Sep 24 2020
    Dusra din- Jab Maya ka koi phone nahi aya to Vekeana ne use ek aur message kiya. badi hi hairani ki baat hai ke Ek aisa bhi waqt tha jab ye dono dost ek din bhi ek dusare se baat kiye bina nahi rah sakti thi lekina ab kai hafte beet jaate hain use apni bestfriend se baat kiye hue. vakeana batati hai ke andar rah kar baahar dekhne ka matlab hai ke uske pass ab sahi waqt hai har cheez ke baare mein gahrai se sochane ka . Shayad yahi sahi waqt hai apni energy ka sahi istemal karne ka , jaisa ki is baat ko sochana ke kya hoga agar is mahamari ki wajah se duniya mein akaal pad jaye , wo har tarah ki nakaratmakta ko harana chahti thi lekin usmen aur uljh jaati , aur zyadatar wo inka hal dhundh leti thi.
    Show More Show Less
    9 mins
  • Kadunk!

    Kadunk!

    Uncovidable, Episode 3
    Sep 24 2020
    Teesra din - Ab aur intezar nahi hota , uske sabr ka baandh toot chala tha. Usne fir se Maya ko ek messgae dala aur bahut gueese mein kaha ke har koi apne-apne ghar mein hai aur ghar mein wo itni busy kaise ho sakti hai. Use lag raha tha wo apni dost ko kho rahi hai isi dar se uska sharir tharthara raha tha. ese mein use kisi sukun dene wali awaz ki zarurat thi par bajay iske ek news ki headline ne Vekeana ko jhakjhor diya aur use pahle se bhi zyada is baat ko sochane par majboor kar diya, kahin zarurat se zayda information hi to insaan ki pareshani ki wajah to nahi hai... is lockdownmein uske ghar ke jhagde bhi kuch badh gaye the .wo apni purani baaton ko yaad karti hai aur sochati hai wo kaise unhe badhachadha kar batati thi
    Show More Show Less
    13 mins

What listeners say about Uncovidable

Average Customer Ratings
Overall
  • 5 out of 5 stars
  • 5 Stars
    2
  • 4 Stars
    0
  • 3 Stars
    0
  • 2 Stars
    0
  • 1 Stars
    0
Performance
  • 5 out of 5 stars
  • 5 Stars
    2
  • 4 Stars
    0
  • 3 Stars
    0
  • 2 Stars
    0
  • 1 Stars
    0
Story
  • 5 out of 5 stars
  • 5 Stars
    2
  • 4 Stars
    0
  • 3 Stars
    0
  • 2 Stars
    0
  • 1 Stars
    0

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.