Preview
  • Vrat ewam Tyohar : Sampoorna kathasaar

  • Written by: Peeyush Singh
  • Podcast

Vrat ewam Tyohar : Sampoorna kathasaar

Written by: Peeyush Singh
  • Summary

  • Vrat aur tyohar hamari bharatiya sanskriti ka bahut mahatvpoorn hissa hain. Ye hamare desh ke har hisse me, har dharm aur sampraday me manaye jaate hain. Ye sirf dharmik aastha ke prateek bhar nahi hain, ye hamari amoolya saanskritik dharohar bhi hain. Ye vrat, ye tyohar humein aapas me jodte hain, jeewan me rang bharte hain, prakriti ke kareeb rakhte hain.Har vrat aur tyohar ki apni ek katha hai jise janna bahut zaroori hai kyonki is katha me is vrat ka mahatva hai, vrat ko karne ki vidhi aur aisi sari baatein hain jinse us vrat ko lekar humare mann me jitne bhi sanshay ho, ve door ho jaate hain. In vraton ki kahani ko ek peedhi se doosri peedhi tak pahunchaya jana isliye bhi zaroori hai kyonki ab humara samajik dhancha badal raha hai. Pariwar ekal hain isliye koi bada boodha nahin jo in sari baton ko nai peedhi ko sikha ya suna sake. Ye show ek prayas hai isi dharohar ko aap tak pahunchane ka taaki aap isey aage badha saken aur humari paramparaon ko bachane me yogdan de sakein.

    ©2021 Peeyush Singh (P)2021 Peeyush Singh
    Show More Show Less
Episodes
  • Episode 01: Devotthan Ekadashi Vrat
    Sep 10 2021

    Kya aap jante hain ki bhagwan Vishnu chaar mahine ke liye gehri neend me so jaate hain aur unke sote huye koi bhi shubh karya shuru nahi kiya jata hai? Aisa kyon hota hai aur bhagwan kiske kahne par itni lambi neend me jaate hain,iss episode me humein inhi sawalon ke jawab milenge.

    Show More Show Less
    15 mins
  • Episode 02: Sri Satyanarayan Vrat
    Oct 14 2021

    Ye vrat shayad hamare gharon me sabse jyada lokpriy vrat hai kyonki iski Mahima bahut mahan hai, ye sabhi ichchaon ko poora karne wala vrat hai aur ise karne ke vidhi vidhan bahut aasan bhi hain. Is episode me suniye Shri Satyanarayan bhagwan ke vrat ki katha, vidhi aur uske prabhav ke bare me, vistaar se.

    Show More Show Less
    16 mins
  • Episode 03: Karva Chautha Vrat
    Oct 14 2021
    Karwa chauth vrat :Aadhunik bharat me ye ek aisa iklauta vrat hai jiske liye utsaah har sal badhta hi jata hai. Shadishuda suhagan mahilayen is vrat ko apne pati ki lambi aayu ke liye rakhti hain, ye bahut kathin vrat mana jata hai. Is episode me aaiye jaante hain is vrat ki sahi vidhi, isse judi kathayen aur is vrat ki mahima bhi.
    Show More Show Less
    15 mins

What listeners say about Vrat ewam Tyohar : Sampoorna kathasaar

Average Customer Ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.